Thursday, October 23, 2014

Baat aesi karo ...

* inext Allahabad संस्करण में  २७ अक्टूबर २०१४ को Blogosphere में प्रकाशित *

Baat aesi karo
Baarish hone lage
Dhoop Jeevan ki tanha ab sahi jati nahi...

Dekhta rahta hun
Aasmaan ki taraf
Chaand ab raat bhar nazar aata nahi...

Band aankhe hain par
Neend ojhal kahin
Khwaab itne ki palko se jaate nahi...

Main din bhar
Akela hi chalta raha
Apni manzil ka hai ab thikana nahi...

Koi baitha hua
Mujhko dekha kiye
Par mere sath ab bhi wo aata nahi...

Khushiyo me meri
Roj aate rahe sab
Par koi bhi khushi se kyun milta nahi...

Meri takleefo me
Gham ko jo baanta kare
Koi aesa kahin kyun hai milta nahi...

Har ek pal me mere
Jo rahe sang mere
Aesa hamraah koi kyun milta nahi...

Baat aesi karo
Baarish hone lage
Dhoop Jeevan ki tanha ab sahi jati nahi...

Niks-d

https://www.facebook.com/nchaurasiya1

https://www.facebook.com/JaneKisModPar

Friday, October 17, 2014

Koi

koi har dard par kahta hai mujhe marham ki jaroorat hai...
koi chupchaap har ek dard saari umar sehta hai..
koi har pal batata hai tumhe main yaad karti hu...
koi chupchaap uski yaad me aansu bahata hai...
koi har baat par beete huye pal ko sahejati hai...
koi hai patthar dil jo har ek pal ko bhul jata hai..
koi deewanagi me khoya har pal khud pe hansta hai..
koi maasoom hai kismat par jo aansoo bahati hai...



Nitin Chaurasiya